Aisa Bun′na Sawarna Mubarak Tumhein
Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
Aisa Bun'na Sawarna, Un Ka Bun′na Sawarna
Woh Kia Sawar Ga'ay Meri Qismat Sawar Gayi
//Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun′na Sawarna (Chants...)
Woh Agar Bun Sawar Ga′ay Hoon Gay Daikhnay Walay Mar Ga'ay Hoon Gay
//Un Ka Bun′na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna (Chants...)
Hazaaroon Wadae Shab Us Nay Is Sorat Say Palay Hein
Kabhi Mehndi Lagayi Hai Kabhi Gayso Sambhalay Hein
//Un Ka Bun′na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna
Mareezon Ka Dam Aankhon Mein Hai Woh Hai Mehv-E-Araish
Wahaan Hoonton Ki Lali Hai Yahaan Jaanon K Lalay Hein
//Un Ka Bun′na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna (Chants...)
Hazaroon Faryaad Kar Rahay Hein Magar Kisi Per Nazar Nahi Hai
Woh Mehv Hein Aaine Mein Aisay K Un Ko Apni Khabar Nahi Hai
//Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun′na Sawarna (Chants...)
Aainay Mein Har Ada Ko Daikh Ker Kehte Hein Wo
Aaj Yeh Daikhein Gay Hum Kiss Kiss Ki Aayi Howi
//Un Ka Bun′na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna (Chants...)
Sajne Ke Waqt Yeh Bhi Zara Daikhte Nahi
Aa′ina Daikha Hai Unhein Kiss Nigaah Say
//Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun′na Sawarna (Chants...)
Unhein Aaraish-E-Gesu Say Matlab
Koi Deewana Ho Ja'ay Bala Say
//Un Ka Bun′na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna (Chants...)
Aisa Bun'na Sawarna Mubarak Tumhein, Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
Chaand Sharmaye Ga Chaandni Raat Mein, Yoon Na Zulfon Ko Apni Sanwara Karo
Yeh Tabassum Yeh Aariz Yeh (Roshan Jabeen)? Bhi, Yeh Ada Yeh Nigahein Yeh Zulfen Haseen
Aa′ine Ki Nazar Lag Na Jaye Kaheen, Jaan-E-Jan Apna Sadqa Utara Karo
Dil To Kia Cheez Hai Jaan Say Jain Gay, Mout Aanay Say Pehle He Mar Jain Gay
Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay, Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo
//Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Her Ada Mastana Sir Say Paoon Tak Chaayi Howi
Uff Teri Kaafir Jawani Josh Per Aai Howi
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Bismil? Ka Khuda Hafiz, Qatil Ka Khuda Hafiz
Tum Jiss Dil Per Nazar Daalo Us Dil Ka Khuda Kafiz
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Andaaz Apne Daikhte Hein Aa′ine Mein Woh
Aur Yeh Bhi Daikhte Hein Koi Daikhta Na Ho
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Dil Churanay Ki Ada Khaas Hoa Karti Hai
Daikh Letay Hein Woh (Us)? Deeda Nazar Say
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Zara Un Ki Shokhi To Daikhiyeh Liyeh Zulf-E-Kham Shuda Haath Mei
Mere Paas Akay Dabay Dabay Mujhe Saanp Keh Ke Dara Dia
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Dil Mera Lay Ker Yeh Zalim Ne Kaha
Jao (Rasta Lo)? Tumhara Kuch Nahi
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Angari Le Ke Us Ne Mujh Per Khumaar Dala
Zalim Ki Is Ada Ne Bus Mujh Ko Mar Dala
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Angari Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Haath
Daikha Mujhe To Chor Diyeh Muskara Ke Haath
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo
Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja'ay Gi
//Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja′ay Gi (Chants... Followed By Vocables)
Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja'ay Gi Tauba Tooti To Qismat Sanwar Ja′ay Gi
Tum Ko Dunya Mein Jannat Nazar Aa'ay Gi Shaikh Ji Mai-Kade Ka Nazara Karo
Kaam Aa′ay Na Mushkil Mein Koi Yahaan, Matlabi Dost Hein Matlabi Yaar Hein
Is Jahan Mein Nahi Koi Ehl-E-Wafa, Ey Fana Is Jahan Say Kinara Karo
Aisa Banna Sanwarna Mubarak Tumhein Kam Se Kam Itna Kehna Hamara Karo... v
_______________________
Overall Meaning:
The song Aisa Banna Sanwarna Mubarak Tumhein by Nusrat Fateh Ali Khan is a beautiful and soulful composition that talks about the intricate beauty of a woman's appearance. The song is a tribute to the art of dressing up and becoming beautiful, with Nusrat Fateh Ali Khan singing praise of the various adornments that go into the process of making a woman look her best. The song talks about how the art of getting dressed up is a skill that is not just restricted to women. Men also possess the talent to dress up and make a statement.
The song begins with the singer asking for the listeners to understand the importance of dressing up and becoming beautiful. The lyrics then go on to describe the various adornments that go into the process of getting dressed up, such as the application of henna, the use of bangles, and the way the hair is styled. The song also talks about the importance of looking good from head to toe, with the singer saying that even the way the feet are adorned adds to the overall beauty of a person.
The song ends with the singer urging the listeners to appreciate the beauty in every person they come across. According to the singer, every person has something beautiful about them, and it is up to us to appreciate and acknowledge that beauty.
Media